dil ke har zakhm-e-tamanna ki qaba jalti hai gham ka wo josh-e-numu hai ki faza jalti hai raushni hai meri rahon mein usi mashal se dast-e-nazuk pe jo tahrir-e-hina chalti hai is taraf mera gham-e-dil hai sulagta hua gham us taraf us ke tabassum ki rida jalti hai meri aahon ke tarannum mein tarawat hi sahi sans leta hun to ai dost faza jalti hai us ne kis karb-e-tamanna se pukara hai mujhe dil ne mahsus kiya hai ki sada jalti hai ye meri tira-nasibi to nahin hai 'mutrib' hae kis aag mein wo sham-e-haya jalti hai