dil ke jalte hue zakhmon ka mudawa ban kar phul mahke hain tere hath ka saya ban kar main tere jism ko chhute hue yun darta hun tishnagi aur badha dega tu dariya ban kar kya daraenge muqaddar ke andhere tujh ko main chamakta hun tere hath pe rekha ban kar waqt hai barf ki diwar to kaise pighle khun bhi aaankhon se tapakta nahin shoala ban kar hath aaya nahin kuchh sang-e-malamat ke siwa shahr mein dekh liya hum ne tamasha ban kar hadsa koi ho bujhti nahin aaankhon ki chamak jism mein phail gaya hai wo ujala ban kar aaine saf the kis kis ko wahan jhutlata har syahi nazar aai mera chehra ban kar tishnagi lakh sahi ghar se na niklo 'rashid' raat sine mein utar jaegi sahra ban kar