dil ke liye hayat ka paigham ban gain
By baqi-siddiquiJanuary 19, 2024
dil ke liye hayat ka paigham ban gain
be-tabiyan simat ke tera nam ban gain
kuchh laghzishon se kaam jahan ke sanwar gae
kuchh juraten hayat par ilzam ban gain
har-chand wo nigahen hamare liye na thin
phir bhi harif-e-gardish-e-ayyam ban gain
aane laga hayat ko anjam ka khayal
jab aarzuen phail ke ek dam ban gain
kuchh kam nahin jahan se jahan ki masarraten
jab pas aain dushman-e-aram ban gain
'baqi' jahan karega meri mai-kashi pe rashk
un ki hasin nigahen agar jam ban gain

84095 viewsghazal • English