dil ke zaKHmon ki numaish ke liye aata hai

dil ke zakhmon ki numaish ke liye aata hai
jab koi harf nigarish ke liye aata hai

dhup ki samt nikalta hun safar pe jab bhi
ek saya meri pursish ke liye aata hai

dusre lamhe nahin rahti wo pahli surat
jaise har pal kisi sazish ke liye aata hai

jaan chhudate hue chalna hai har ek raste se
koi har gam pe yurish ke liye aata hai

rah na pae kisi goshe mein andhera 'anjum'
har naya din isi koshish ke liye aata hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close