dil khol kar hansen na to aansu bahaen log

By nusrat-ateeq-gorakhpurJuly 2, 2022
dil khol kar hansen na to aansu bahaen log
chikhon ko phir batao ki kaise dabaen log
rahna padega aise hi ta-zindagi hamein
jo din guzar gae hain unhen bhul jaen log


lashon ke is hujum mein ek fikr ye bhi hai
kis ko utaren qabr mein kis ko jalaen log
pahle to dil se dil ko milane ki baat thi
ab hukm ye hua hai ki duri banaen log


aasar-e-zindagi hi nahin zindagi mein kuchh
jab dil hi bujh gaya ho to kya muskuraen log
bhule se bhi na bhulega san do hazar bis
jo dil pe naqsh ho gaya kaise mitaen log


tum ko khuda ne di hai jo lafzon ki saltanat
aisi ghazal kaho ke jise gungunaen log
rakhte nahin ho rishta kisi se bhi tum magar
ummid ye ki tum se hi rishta nibhaen log


daulat se bhi sukun mayassar nahin hua
'nusrat' ka mashwara hai ki neki kamaen log
50158 viewsghazalEnglish