dil khota hai hum ko us se raaz-e-ishq na kahna tha ghar ka bhedi lanka dhae itna samjhe rahna tha kyun hanste ho main jo barahna aaj junun ke hathon hun kuchh din guzre main ne bhi bhi rang libas ek pahna tha naza ke waqt aae ho tum ab puchh rahe ho kya mujh se haalat meri sab kah guzri jo kuchh tum se kahna tha aa ke gaya wo roya kin ye harj hua nazzare mein aankhen kuchh nasur nahin thin jin ko har dam bahna tha himmat haare ji de baithe sab lazzat khoi ai 'shauq' marne ki jaldi hi kya thi ishq ka gham kuchh sahna tha