dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya
By akhtar-ali-akhtarOctober 24, 2020
dil ki aarzu thi dard dard-e-be-dawa paya
kya sawal tha mera aur kya jawab un ka
ishq ki latafat ko khak-e-tur kya jaane
mujh pe thi nazar un ki mujh se tha khitab un ka
aalam-e-tamanna hai khwab ka sa ek aalam
shauq-e-na-tamam apna ishwa kaamyab un ka
kam na thi qayamat se subh-e-afrinash bhi
meri muztarib nazren aur intikhab un ka

79465 viewsghazal • English