dil ki diwar pe mehrab bana kar rakhta

By shamim-danishFebruary 29, 2024
dil ki diwar pe mehrab bana kar rakhta
tujh ko aankhon ke liye khwab bana kar rakhta
rah gae tum to kisi ke liye jugnu ban kar
mujh ko milte to main mahtab bana kar rakhta


mujh se ladna hi agar tha to qabile mein phir
kai rustam kai sohrab bana kar rakhta
aag pani mein lagani hi nahin jab tum ko
khud ko kab tak koi talab bana kar rakhta


barf jamti hi nahin jism ki diwaron par
tu agar khun ko tezab bana kar rakhta
khatm ho jata maza phir to use padhne ka
tu 'ibarat mein jo e'rab bana kar rakhta


khatm kar deta wajud apna mohabbat ke liye
khud ko qatra tujhe sailab bana kar rakhta
sab hain talwar ye lakdi ki magar ai 'danish'
phir bhi kuchh dost kuchh ahbab bana kar rakhta


69881 viewsghazalEnglish