dil ki duniya ko basane chal paDa dil

By zuhaib-hussainOctober 7, 2023
dil ki duniya ko basane chal pada dil
muddaton ke ba'd phir zid pe ada dil
husn aankhen zulf aur lab ke mukhalif
ishq ke maidan mein tanha hai khada dil


jab se dil ne hai lagai khud ki bazi
husn walo dushmani mein aa pada dil
allah allah us ki himmat ko salami
sab harifon se akela hi lada dil


zulf-e-pur-kham jumbish-e-lab aur dam-kham
us taraf ye is taraf in se bada dil
69491 viewsghazalEnglish