dil ki KHalwat se zaban tak ka safar kis ne kiya
By khursheed-rizviFebruary 27, 2024
dil ki khalwat se zaban tak ka safar kis ne kiya
dard ke aks-e-gurezan ko amar kis ne kiya
muskura kar zakhm khane ki bina kis ne rakhi
talkhiyon ko zist se shir-o-shakar kis ne kiya
tum ne ya hum ne likhe paigham fasl-e-gul ke nam
khushbuon ko gulsitan mein nama-bar kis ne kiya
kya ye is be-dast-o-pa andhe sadaf ka kaam hai
bund ko pani ki zulmat mein guhar kis ne kiya
kis ne mah-e-nau ki dali panw mein bedi mere
sham ke manzar ko mera ham-safar kis ne kiya
ped ko kis ne hilaya hai ki udte hain parind
zehn mein thahre huon ko dar-ba-dar kis ne kiya
zalzalon ne ya jabin ghiste hue sailab ne
rafta-rafta ghar ki buniyaadon mein ghar kis ne kiya
kis ne chhoda aasman tak la ke patthar ki tarah
main parinda tha mujhe be-baal-o-par kis ne kiya

68766 viewsghazal • English