dil ki taraf hijab-e-takalluf utha ke dekh aaina dekh aur zara muskura ke dekh is daur mein ye tarz-e-jafa aazma ke dekh dil ke bajae dil ke sukun ko mita ke dekh taslim ki nazar se karishme raza ke dekh begangi-e-dost ko apna bana ke dekh is shorish-e-hayat ko had se badha ke dekh ye fitna aur hashr se pahle utha ke dekh yun dekhta hai tirgi-e-ab-o-gil mein kya sholon se khel dil ko jala aur jala ke dekh har zindagi ka nam na rakh dil ki zindagi iman zindagi pe na la aazma ke dekh teri tajalliyon se kisi tarah kam nahin dil ki tajalliyon ko kabhi dil mein aa ke dekh ab ke ada-e-khas se kar imtihan-e-dil jo barq tur par na giri ho gira ke dekh han ahl-e-dil ke haal se ghaflat muhaal hai achchha yaqin nahin to mujhi ko bhula ke dekh duniya ko dekhna to mayassar nahin tujhe zarre ko dekhna hai to duniya bana ke dekh 'fani' safina ab bhi na dube to kya kare tufan ko na dekh sitam na-khuda ke dekh