dil ki taswir sajaane nikle

By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
dil ki taswir sajaane nikle
apni taqdir banane nikle
rasta kuchh to kathin hona tha
hum jo ta'bir ko pane nikle


hum ne sikha hai mohabbat karna
khwab ke tir suhane nikle
jab munawwar hua khushbu se dil
hadse mein bhi khazane nikle


itna aasan nahin jina bhi
un se puchho jo kamane nikle
dil ke dariya ne utarna chaha
aankh se log purane nikle


hum nikal aae hain ek 'ahd liye
kaun manzil ko ganwane nikle
aaj soe hue logon mein hum
dil ke jugnu ko jagane nikle


tum ne karna hai jo wo kar dalo
hum to khud sham' jalane nikle
99803 viewsghazalEnglish