dil ko aazar laga wo ki chhupa bhi na sakun parda wo aa ke pada hai ki utha bhi na sakun muddaa samne un ke nahin aata lab tak baat bhi kya gham-e-dil hai ki suna bhi na sakun be-jagah aankh ladi dekhiye kya hota hai aap ja bhi na sakun un ko bula bhi na sakun wo dam-e-naza mere bahar-ayaadat aae haal kab puchhte hain jab ki suna bhi na sakun zindagi bhi shab-e-hijran hai ki katti hi nahin maut hai kya tera aana ki bula bhi na sakun dam hai aankhon mein ise jaan mein laun kyunkar kab wo aae ki unhen hath laga bhi na sakun sharm-e-isyan ne jhukaya meri gardan ko 'zahir' bojh wo aa ke pada hai ki utha bhi na sakun