dil ko darun-e-khwab ka mausam bojhal rakhta hai ek anjaane khauf se waqif har pal rakhta hai wo jo ba-zahir har zarra hai tez hawaon mein apne hone ka ehsas mukammal rakhta hai tark-e-talluq ne meri bhi soch ko badla nahin wo bhi shikayat apne sath musalsal rakhta hai registan ka pauda hun main aur bahut sairab apna rup rawayya mujh par baadal rakhta hai kankar phenk rahe hain ye andaza karne ko thahra pani kitni 'humaira' halchal rakhta hai