dil ko dil se ek din aaKHir juda hona hi tha
By aftab-ranjhaMay 22, 2024
dil ko dil se ek din aakhir juda hona hi tha
hai gila kis baat ka un ko khafa hona hi tha
kaun sunta hai yahan khamosh chikhon ki nawa
meri aahon ko bhi yunhi be-sada hona hi tha
kya murawwat thi ki sare shahr se uthti gai
ek tera ye wasf logon mein rawa hona hi tha
do ghadi hum ko mili hai do ghadi mohlat ki hai
zindagi ki qaid se aakhir riha hona hi tha
dekhta hun jo kiya tu ne 'adu ke sath bhi
ai nigah-e-yar tujh se kuchh naya hona hi tha
chhod kar rah-e-safar mein wo to uth kar chal diye
ek din us bewafa ko bewafa hona hi tha
zakhm khae hain hamesha 'barham' apni jaan par
kar-gah-e-dahr mein sab se bura hona hi tha

73084 viewsghazal • English