dil ko diwana kahunga to bura manoge

By hasan-jafariMay 6, 2022
dil ko diwana kahunga to bura manoge
apna afsana kahunga to bura manoge
kah diya shama tumhein main ne to kitne khush ho
khud ko parwana kahunga to bura manoge


tum ko kahta hun main apna to bura mante ho
aur begana kahunga to bura manoge
itne bad-zan ho ki gar aaina-khane ko bhi main
aaina-khana kahunga to bura manoge


dil ko kahta hun main gulshan to khafa hote ho
dil ko virana kahunga to bura manoge
log kahte hain sanam-khana tumhaare ghar ko
main sanam-khana kahunga to bura manoge


dil mein jo kuchh hai ishaaron mein kahe deta hun
be-hijabana kahunga to bura manoge
40140 viewsghazalEnglish