dil ko halak-e-jalwa-e-jaanan banaiye is but-kade ko kaba-e-iman banaiye tufan ban ke uthiye jahan-e-kharab mein hasti ko ek sharara-e-raqsan banaiye daudaiye wo ruh ki har zarra jag uthe ujde hue watan ko gulistan banaiye phir dijiye nigah ko paigham-e-justuju manzil se kyun nazar ko gurezan banaiye aakhir to khatm hongi kahin qaid ki haden yusuf ko aap raunaq-e-zindan banaiye phir apne dil mein kijiye paida koi tadap phir mushkil-e-hayat ko aasan banaiye 'jauhar' asiriyon ki koi intiha bhi hai aazad ek nizam-e-pareshan banaiye