dil ko jis chiz ki hasrat hai hamin jaante hain wo koi chand si surat hai hamin jaante hain hamein kis shakhs ki aadat hai tumhi jaante ho tumhein kis shakhs ki aadat hai hamin jaante hain tera hansna to qayamat hai hamein hai malum tera rona bhi musibat hai hamin jaante hain yun to dawa hai mohabbat ka tumhein hum se magar tumhein jis jis se mohabbat hai hamin jaante hain yun to aasan sa rasta hai tumhaare ghar ka tere milne mein jo mehnat hai hamin jaante hain gham-e-dauran se to begana hue hain 'danish' tere gham ki jo inayat hai hamin jaante hain