dil ko kar deta hai tasKHir samajhta hun main

By adnan-asarJanuary 18, 2025
dil ko kar deta hai taskhir samajhta hun main
'ishq ko panw ki zanjir samajhta hun main
ab mere khwab mein aane ki ijazat hai tumhein
ab to har khwab ki ta'bir samajhta hun main


ruh ab tak hai mo'attar gul-e-taza ki tarah
'ishq ko mushk-e-abad-gir samajhta hun main
tu agar mujh ko pukare to thaharta hi nahin
ek lamhe ko bhi takhir samajhta hun main


24979 viewsghazalEnglish