dil ko rah-e-hayat mein uljha raha hun main kaise bhi apne-ap ko bahla raha hun main rakh kar ke thodi dur kinare pe ye badan dariya ke sath sath baha ja raha hun main khidki pe ek bar to aa ja ki dekh lun jaana tumhaare shahr se ab ja raha hun main matlab yahi hua ki mera bhi wajud hai us aaina mein saf nazar aa raha hun main area pada hua hun main gard-e-zamin par mitti mein tere lams ko dafna raha hun main chaha tha tujh ko panw mein qismat se jit kar qismat se mil gae ho so thukra raha hun main