dil ko ye ehsan uThana paDta hai
By ahmar-nadeemFebruary 5, 2024
dil ko ye ehsan uthana padta hai
aankhon se ahwal sunana padta hai
raaten khair guzar jati hain khalwat mein
din mein to kirdar nibhana padta hai
lahza lahza khwab mayassar aate hain
rafta rafta hosh ganwana padta hai
chupke chupke apne andar jate hain
sahme sahme bahar aana padta hai
basti basti virani hai sadiyon ki
sahra se ye raaz chhupana padta hai
khamoshi hi khamoshi ho pahlu mein
tab duniya mein shor machana padta hai
aankhon se ahwal sunana padta hai
raaten khair guzar jati hain khalwat mein
din mein to kirdar nibhana padta hai
lahza lahza khwab mayassar aate hain
rafta rafta hosh ganwana padta hai
chupke chupke apne andar jate hain
sahme sahme bahar aana padta hai
basti basti virani hai sadiyon ki
sahra se ye raaz chhupana padta hai
khamoshi hi khamoshi ho pahlu mein
tab duniya mein shor machana padta hai
73038 viewsghazal • English