dil ko ye samjhana hai
By pinhaanNovember 12, 2020
dil ko ye samjhana hai
duniya pagal-khana hai
wo kaisa begana hai
dil jis ka diwana hai
fitrat ke begar sabhi
shama hai parwana hai
jiwan dukh-sukh sukh-dukh sab
uljha tana-bana hai
hire moti ro lena
hansne ka harjaana hai
sapna hai ye jiwan aur
duniya ek afsana hai
hasil ka bhi hasil kya
aakhir to mar jaana hai
manzil waise dur nahin
rasta kuchh an-jaana hai
maut ke qadmon mein rakkha
hasti ek nazrana hai
'pinhan' ab to har ek ko
shair hi kahlana hai
duniya pagal-khana hai
wo kaisa begana hai
dil jis ka diwana hai
fitrat ke begar sabhi
shama hai parwana hai
jiwan dukh-sukh sukh-dukh sab
uljha tana-bana hai
hire moti ro lena
hansne ka harjaana hai
sapna hai ye jiwan aur
duniya ek afsana hai
hasil ka bhi hasil kya
aakhir to mar jaana hai
manzil waise dur nahin
rasta kuchh an-jaana hai
maut ke qadmon mein rakkha
hasti ek nazrana hai
'pinhan' ab to har ek ko
shair hi kahlana hai
96081 viewsghazal • English