dil kun dildar ke niyaz kare

By daud-aurangabadiOctober 29, 2020
dil kun dildar ke niyaz kare
tan kun aaram-o-sukh sun baz kare
hue tab rag-e-ishq sun aagah
rag-e-jaan jab ki tar-e-saz kare


is sukhan ka ajab hai afsana
jo sune us kun ahl-e-raaz kare
said karne ke tain kabutar-e-ishq
tair-e-dil misal-e-baz kare


harf-e-haq par agar hai dil sabit
misl-e-mansur sar niyaz kare
aashiqan kun niyaz hai lazim
naznin gar ada sun naz kare


shoala-e-ishq us pe hue raushan
shama san dil kun jo gudaz kare
pahunchne ilm kun haqiqat ke
sair az nuskha-e-majaz kare


koi us sarw-qad kun ja bolo
dars dikhla ke sarfaraaz kare
khol kar zulf-e-ambarin yak-bar
rishta-e-shauq kun daraaz kare


jo padhe tere sher kun 'daud'
aakhirash dil kun ishq-baz kare
81903 viewsghazalEnglish