dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin

By yagana-changeziNovember 25, 2020
dil lagane ki jagah aalam-e-ijad nahin
khwab aankhon ne bahut dekhe magar yaad nahin
aaj asiron mein wo hangama-e-fariyaad nahin
shayad ab koi gulistan ka sabaq yaad nahin


sar-e-shorida salamat hai magar kya kahiye
dast-e-farhad nahin tesha-e-farhad nahin
tauba bhi bhul gae ishq mein wo mar padi
aise ausan gae hain ki khuda yaad nahin


dushman o dost se aabaad hain donon pahlu
dil salamat hai to ghar ishq ka barbaad nahin
fikr-e-imroz na andesha-e-farda ki khalish
zindagi us ki jise maut ka din yaad nahin


nikhat-e-gul ki hai raftar hawa ki paband
ruh qalib se nikalne pe bhi aazad nahin
zinda hain murda-paraston mein abhi tak 'ghaalib'
magar ustad 'yagana' sa ab ustad nahin


95225 viewsghazalEnglish