dil lagaya hai to nafrat bhi nahin kar sakte ab tere shahr se hijrat bhi nahin kar sakte aakhri waqt mein jine ka sahaara hai yahi teri yaadon se baghawat bhi nahin kar sakte jhut bole to jahan ne hamein fankari kaha ab to sach kahne ki himmat bhi nahin kar sakte is nae daur ne man-bap ka haq chhin liya apne bachchon ko nasihat bhi nahin kar sakte hum ujalon ke payambar to nahin hain lekin kya charaghon ki hifazat bhi nahin kar sakte qadr insan ki ghat ghat ke yahan tak pahunchi ab to qimat mein riayat bhi nahin kar sakte fan ki tazim mein mar jaoge bhuke 'dana' tum to ghazlon ki tijarat bhi nahin kar sakte