dil-lagi karne se ye dil kahan mana hota

By ashutosh-tiwariOctober 27, 2020
dil-lagi karne se ye dil kahan mana hota
tum na milte to kahin aur thikana hota
apni marzi ke muafiq jo fasana hota
wo bhi duniya ke mutabiq hi sunana hota


kash tuti hui kashti ke khewayya bante
hum ko dariya ke kisi par to jaana hota
ye koi bhuli kahani hai jo yaad aati hai
aisi haalat mein koi dost purana hota


dil-e-betab hamein zabt se mahrum na kar
mar na jate jo teri baat mein aana hota
tum ko bas chahne bhar se koi kyon mil jae
aise to sab ki hi mutthi mein zamana hota


ajnabi tha so taghaful bhi nahin kar pae
rabt hota to bichhadne ka bahana hota
thik hi hai ki ye duniya na kabhi dekhe hamein
us se dekha nahin jaega diwana hota


35710 viewsghazalEnglish