dil mein ab taqat kahan KHunaba-afshani kare

By ahmad-farazJanuary 1, 2024
dil mein ab taqat kahan khunaba-afshani kare
warna gham wo zahr hai patthar ko bhi pani kare
'aql wo naseh ki har dam laghzish-e-pa ka khayal
dil wo diwana yahi chahe ki nadani kare


han mujhe bhi ho gila be-mehri-e-haalat ka
tujh ko aazurda agar meri pareshani kare
ye to ek shahr-e-junun hai chaak-damano yahan
sab ke sab wahshi hain kis ko kaun zindani kare


mausam-e-gul hai magar be-rang hai shakh-e-mizha
kitna sharminda hamein aankhon ki virani kare
hanste chehron se dilon ke zakhm pahchanega kaun
tujh se badh kar zulm apni khanda-peshani kare


nasehon ko kaun samjhae na samjhega 'faraaz'
wo to sab ki baat sun le aur man-mani kare
91595 viewsghazalEnglish