dil mein chhupa ke dil mein liye ja raha hun main
By basir-tonkiJanuary 2, 2024
dil mein chhupa ke dil mein liye ja raha hun main
yun husn se nibah kiye ja raha hun main
phulon ke sath hain mujhe sab khar bhi 'aziz
kitna hasin sath diye ja raha hun main
barq-e-jamal se hua kab koi faizyab
khud apne dil mein ghaur kiye ja raha hun main
rahmat hai khud panah khuda-e-karim ki
rahmat ko apne sath liye ja raha hun main
fard-e-amal siyah na karna gunah se
zahid tujhe ye pand kiye ja raha hun main
waqt-e-shabab khub hi 'basir' guzar gaya
rukhsat hui jawani jie ja raha hun main

83011 viewsghazal • English