dil mein ek aatish-e-benam-o-nishan hai jaise koi shoala sa rag-o-pai mein rawan hai jaise allah allah re taqdis-e-mohabbat ka fusun aafat-e-qalb-o-jigar rahat-e-jaan hai jaise aise lagta hai ki is mai-kada-e-hasti mein khun-e-dil qismat-e-aali-nafasan hai jaise zarre zarre mein ye arzani-e-jalwa kya khub koi mutalashi-e-sahab-nazaran hai jaise aalam-e-husn hai ya husn-e-nazar ka aalam nur hi nur ba-har-samt rawan hai jaise aise itraate hain arbab-e-khirad ai 'mansha' un ke hi hathon mein tanzim-e-jahan hai jaise