dil mein ek qabr har ek hasrat-e-nakaam ke baad aur ek shauq-e-kalam aakhiri paigham ke baad sham dhalte hi charaghon ko bujhaya main ne koi parwana nahin marne diya sham ke baad hae afsos sad-afsos mere honton par ek bhi nam nahin thahra tere nam ke baad zauq kuchh mit sa gaya us ke chale jaane se koi bhaya na mujhe us pari-andam ke baad ek tajassus hua karta hai bure kaam se qabl ek pachhtawa bure kaam ke anjam ke baad koi bhi jurm na ho jurm-e-mohabbat ke siwa koi ilzam na ho ishq ke ilzam ke baad ab to fursat bhi mere waste napaid hai dost ek naya kaam nikal aata hai har kaam ke baad