dil mein hai ek raaz jo honTon tak aa sakta nahin

By kaif-moradaabadiNovember 3, 2020
dil mein hai ek raaz jo honton tak aa sakta nahin
yani main jis haal mein bhi hun bata sakta nahin
be-khudi-e-zauq-e-sajda ne ye aalam kar diya
sar to sar ab to nigahen bhi utha sakta nahin


hai raza-e-dost mein shamil junun-e-ishq bhi
chahe kuchh kije mujhe to hosh aa sakta nahin
un ke ek jalwe mein hai mahdud un ke samne
mera jo aalam do-alam mein sama sakta nahin


zahir-o-baatin ki har tafriq hi jati rahi
ab main chahun bhi to haal-e-dil chhupa sakta nahin
un ki mukhtari bhi ek shan-e-karam hai aur kya
jo kisi sail se daman tak chhuda sakta nahin


'kaif' ek khwab-e-pareshan hai kisi mahbub ka
lekin aisa jis ko wo khud bhi bhula sakta nahin
34572 viewsghazalEnglish