dil mein jab shoala-e-ehsas machal jata hai mom ki tarah se patthar bhi pighal jata hai kaise kah dun ki ye suraj hai ujalon ka amin sham hote hi andheron mein jo dhal jata hai chand qatron ki mere dost haqiqat kya hai zarf wala to samundar bhi nigal jata hai kya zaruri hai ki shoalon ko hawa di jae jis ko jalna hai wo phulon se bhi jal jata hai ye siyasat ka hai bazar yahan par yaro khota sikka bhi khare damon mein chal jata hai waqt ke sath badal jate hain chehre 'gulshan' log kahte hain ki aaina badal jata hai