dil mein rumuz-e-ishq ka daftar liye hue
By jauhar-bilgramiJuly 1, 2022
dil mein rumuz-e-ishq ka daftar liye hue
kuze mein phir raha hun samundar liye hue
aise hi bal hai mera muqaddar liye hue
jaise ki un ki zulf-e-moambar liye hue
kya khak aaine mein nazar aae ru-e-dost
dil hai khudi ki gard-e-mukaddar liye hue
sadqe tere qaza ki subuk-dosh kar diya
bar-e-gunah tha bhaari main sar par liye hue
hirs-o-hawa ke phandon mein har dam phanse hue
kitne wabaal-e-jaan hain tawangar liye hue
khail-o-hasham ko dekh ke dozakh bhi kanp utha
pahuncha jo main gunahon ka lashkar liye hue
khatka na jaan ka hai na kuchh fikr mal ki
sari tasalliyan hain gadagar liye hue
aarasta hai durr-e-maani se sar-basar
'jauhar' ghazal ye tabish-e-jauhar liye hue

46584 viewsghazal • English