dil mein sau aarman rakhta hun pyare aakhir main jaan rakhta hun wah-ri aql tujh se dushman se dosti ka guman rakhta hun sabr chhut dil sab aur baaton main qabil-e-imtihan rakhta hun aah tere bhi dhyan mein kuchh hai kis qadar tera dhyan rakhta hun tujh se har bar mil ke main be-sabr na malun phir ye than rakhta hun sirf main to 'asar' bisan-e-jaras aah-o-nala bayan rakhta hun