dil mein yun chah ka arman na hua tha so hua jis ki khatir main pareshan na hua tha so hua wo bhi kya din the ki jab rahat-e-jaan tha koi waqt bhi mujh se gurezan na hua tha so hua kis ko hai tab-e-nigahi tera jalwa dekhe aaina khud bhi to hairan na hua tha so hua gham-gusari ke liye ab nahin aata hai koi zakhm bhar jaane ka imkan na hua tha so hua ye bhi eajaz-e-mohabbat hai ki wo shokh kabhi wajh-e-taskin-e-dil-o-jaan na hua tha so hua jal uthin dil mein teri yaad ki shamen aakhir is kharabe mein charaghan na hua tha so hua us ki khwahish kahun ya apni tamanna 'nadir' bazm mein us ki ghazal-khwan na hua tha so hua