dil mera lut gaya wo badi tauqir ke sath jo mujhe jit na paya kabhi shamshir ke sath koi kis tarah se badlega muqaddar ka likha koi kis tarah se lad paega taqdir ke sath dil ki nagri se kai ek musafir guzre koi thahra hi nahin hai dil-e-be-pir ke sath dard jab had se guzar jae to kuchh baat bane nam mera bhi kabhi aae taqi-'mir' ke sath main use bhul ke bhi yaad nahin aa sakti jo mujhe bandh gaya dard ki zanjir ke sath main ne minnat se aur minnat se tumhein manga hai tum jo mil sakte the mujh ko kisi tadbir ke sath ye hi alfaz meri shan hain sarmaya hain kuchh taqabul nahin in ka kisi jagir ke sath kat kar aaj ke akhbar ko tawiz kiya teri taswir chhapi hai teri tahrir ke sath tujh ko ranjha se kabhi bhi koi nisbat na rahi har fasane mein mera zikr chala hir ke sath aap pahlu se yun chup-chap lage baithe hain jaise taswir laga de koi taswir ke sath dad milti hai 'tabassum' tujhe yun der ke ba'd tere ashaar samajh aate hain takhir ke sath