dil mera muztar bahut paiham raha

By hajra-noor-zaryabOctober 31, 2020
dil mera muztar bahut paiham raha
zindagi mein jab musalsal gham raha
mehrban tha kuchh tasawwur is tarah
hijr mein bhi wasl ka aalam raha


manzilen us ka muqaddar ban gain
azm jis insan ka mohkam raha
kis taraf le aai hai ye zindagi
waqt hum par mehrban kam-kam raha


phir kisi ke talkh lahje ke sabab
ye charagh-e-arzu maddham raha
qahqahon ke sath aansu the rawan
raat wahshat mein ajab aalam raha


jab bhi dekha aaina 'zaryab' ne
aks mazi ka bahut maddham raha
49755 viewsghazalEnglish