dil mohabbat se bhar na jae kahin

By umood-abrar-ahmadMarch 1, 2024
dil mohabbat se bhar na jae kahin
tu bhi yak-dam mukar na jae kahin
tham leti hun khud ko pal pal main
dil ye ashkon se bhar na jae kahin


main zamane se thak chuki yaro
ab ye meri nazar na jae kahin
aane wale khizan ke mausam mein
haar tanha shajar na jae kahin


aankh pur-nam hai lab pe khamoshi
mauj-e-dariya utar na jae kahin
in taghaful bhari adaon se
meri hasti bikhar na jae kahin


koi us ko meri khabar de de
waqt jaldi guzar na jae kahin
10099 viewsghazalEnglish