dil mubtala-e-hijr rifaqat mein rah gaya lagta hai koi farq mohabbat mein rah gaya is ghar ke do makin the ek ped aur main ye hijr to kisi ki shararat mein rah gaya ek bar mana karti hui sham se to puchh jo bhi juda hua wo haqiqat mein rah gaya mumkin tha tujh ko chhin hi leta jahan se lekin main kya karun main mohabbat mein rah gaya ab tu hi meri khali hatheli ki laj rakh mujh se to koi farq ibaadat mein rah gaya tujh par hai koi zoam na khud par yaqin 'nadim' kuchh din ka hum mein pyar to aadat mein rah gaya