dil na de sath to gham kaise saha jaega

By asrar-zaidiOctober 27, 2020
dil na de sath to gham kaise saha jaega
ki usi ghar mein ye sailab-e-bala jaega
ek musafir hai wo us ki koi manzil hi nahin
jis taraf bhi qadam utthenge chala jaega


main to is jabr-e-musalsal mein bhi lab-basta nahin
yun samajh le tera har tir khata jaega
barf pighlegi to mausam bhi badal jaenge
pau phategi to ujala nazar aa jaega


lamha lamha mere hone ki gawahi dega
patte patte pe mera nam likha jaega
ruh ka zakhm hai is par koi marham na laga
zahr phailega to nas nas mein sama jaega


25878 viewsghazalEnglish