dil na raushan hua daulat ke parastaron ka nur badhta hi raha shahr ke minaron ka zakhm riste hue ban jata hai aksar nasur kaam marham ne kiya ho jahan angaron ka rail ki patri pe rakkhi hai wo gathri dekho jurm poshida raha jis mein siyah-karon ka mahw-e-hairat hun wahan izzat-e-fankar gai chal gaya sikka jahan hashiya-bardaron ka zindagi ashk-e-nadamat liye phirti hai 'rais' roz uthta hai janaza yahan fankaron ka