dil nahin dil ka iztirab nahin

By amjad-ali-ghaznawiOctober 2, 2021
dil nahin dil ka iztirab nahin
saghar-e-jam nahin sharab nahin
daur ye daur-e-inqilab nahin
barq mein bhi to pech-o-tab nahin


barq to hai magar sahab nahin
dhup hai aur aaftab nahin
shauq-e-nakaam hi sahi lekin
husn bhi aaj kaamyab nahin


din mein tariki-e-shab-e-gham hai
ye haqiqat hai koi khwab nahin
ai nasim-e-sahar chaman mein kyon
lala-o-gul mein aab-o-tab nahin


aadmi aadmi ka dushman hai
ek tamasha hai inqalab nahin
is ko mahaul ne kharab kiya
aadmi fitratan kharab nahin


baghban shakh-e-gul se hai naraaz
barq ab murid-e-itab nahin
sahn-e-gulshan mein aaj abr-e-karam
ek hum hain ki faizyab nahin


kuchh dinon se na jaane kyon dil mein
ek khalish si hai iztirab nahin
ab mere un ke darmiyan 'amjad'
koi parda nahin hijab nahin


67233 viewsghazalEnglish