dil nahin us lab-e-KHandan ki taraf jata hai

By maroof-dehlviNovember 5, 2020
dil nahin us lab-e-khandan ki taraf jata hai
tishna-lab chashma-e-haiwan ki taraf jata hai
yar tujh bin mujhe le jate hain yun bagh mein khinch
jaise mujrim koi zindan ki taraf jata hai


mahw yan tak hun tasawwur mein tere az-rah-e-shauq
hath har dam tere daman ki taraf jata hai
bad-guman ye hun ki sath uth ke chala jata hun
wahm gar kucha-e-jaanan ki taraf jata hai


kya kisi parda-nashin par hai tu aashiq 'maruf'
chhup ke jo gosha-e-pinhan ki taraf jata hai
29349 viewsghazalEnglish