dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah

By awais-ul-hassan-khanOctober 27, 2020
dil ne chaha tha jise apne sahaare ki tarah
gham usi shakhs ka bhadka hai sharare ki tarah
tera ehsan na bhulunga gham-e-yar ki tu
roz sajta hai meri aankh mein tare ki tarah


kitne ilham ke rangon se ranga hai chehra
jis ko padhta hun main quran ke pare ki tarah
shoala lapka hai tere husn ka aise bhi kabhi
sher mere bhi hue shokh angare ki tarah


ek nishan ret pe dekha tha musalsal bante
marte lamhon mein kahin dur kinare ki tarah
gudgudata hai teri yaad ka mausam dil ko
khilkhilate hue phulon ke nazare ki tarah


wasl ke pal bhi bujhi rakh ki surat thahre
sard-mehri se kiye ek ishaare ki tarah
81672 viewsghazalEnglish