dil ne kiya hai qasd-e-safar ghar samet lo jaana hai is dayar se manzar samet lo aazadgi mein shart bhi hai ehtiyat ki parwaz ka hai izn magar par samet lo hamla hai chaar su dar-o-diwar-e-shahr ka sab jangalon ko shahr ke andar samet lo bikhra hua hun sarsar-e-sham-e-firaq se ab aa bhi jao aur mujhe aa kar samet lo rakhta nahin hai koi na-gufta ka yan hisab jo kuchh hai dil mein us ko labon par samet lo