dil-o-dilbar sahi ab KHwab se bedar hain donon

dil-o-dilbar sahi ab khwab se bedar hain donon
sharik-e-majlis-e-araish-e-guftar hain donon

chaman mein kya hua gulchin ho bagul-kar kya jaane
nazar aata nahin kuchh nargis-e-bimar hain donon

nigah-e-ahl-e-duniya ho ki chashm-e-nim-khwab un ki
kabhi iqrar hain donon kabhi inkar hain donon

ibaadat-khana-ha-e-kufr-o-iman mein gaya lekin
nida aai ki wapas ja yahan ghaddar hain donon

jidhar daulat ki kirnen hain udhar jata nahin koi
wo aashiq ho ki shair saya-e-diwar hain donon

darun-e-halqa-e-gang-o-jaman hai sher ki duniya
ye dilli lucknow bhi kuchh nahin is par hain donon

taghaful ki ada ho ya hukumat ki adakari
bura kis ko kahun mere liye sarkar hain donon


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close