dil-o-dimagh jalae hain is ‘amal ke liye

By akhtar-gwalioriMay 31, 2024
dil-o-dimagh jalae hain is ‘amal ke liye
nai zamin nikali nai ghazal ke liye
nafasaton mein bhi apni misal aap hain hum
gulon ke bose bhi hum ne sanbhal sanbhal ke liye


safar mein rahte hain har-waqt khushbuon ki tarah
sukun mila na kahin hum ko ek pal ke liye
ye rah-e-ishq-o-wafa hai yahan ka maslak hai
qadam qadam raho tayyar tum ajal ke liye


hawa mein is qadr tezabiyat samai hai
ki shakh shakh tarasti hai phul-o-phal ke liye
hare bhare hain har ek haal mein wo ai 'akhtar'
qalandaron ko koi gham nahin hai kal ke liye


65985 viewsghazalEnglish