dil-o-jaan hum nisar karte hain

By akhtar-ali-akhtarApril 3, 2021
dil-o-jaan hum nisar karte hain
wo nigahon se war karte hain
haal-e-dil jab unhen sunata hun
aankh wo ashk-bar karte hain


hum ne un se kabhi gila na kiya
wo to shikwe hazar karte hain
aa bhi jao ki tab-e-zabt nahin
har ghadi intizar karte hain


aankh un se ladi hai jab 'akhtar'
gul-o-bulbul sa pyar karte hain
24727 viewsghazalEnglish