dil pe zaKHm khane se ashk-e-KHun bahane tak

By mansha-ur-rahman-khan-manshaJune 15, 2022
dil pe zakhm khane se ashk-e-khun bahane tak
hum ne gham sahe kya kya kaif-e-zist pane tak
fasl-e-nau-bahaaran ko kya khabar ki ghunchon par
kitne hashr guzre hain khil ke muskurane tak


dil ne azm-o-himmat se kaam le liya warna
hum pe kya nahin biti aarzu bar aane tak
iztirab-e-paiham se zindagi ibarat hai
dil ki qadr-o-qimat hai naz-e-gham uthane tak


manzilon ki dushwari raston ke sannate
hain tamam andeshe ek qadam badhane tak
ho faza ki wusat ka us ko khak andaza
hadd-e-fikr ho jis ki apne aashiyane tak


sach to hai yahi 'mansha' zindagi ki rahon mein
tirgi ka khatra hai sham-e-dil jalane tak
65852 viewsghazalEnglish