dil phir hai justuju mein pareshan bura hua

By bishan-dayal-shad-dehlviDecember 30, 2021
dil phir hai justuju mein pareshan bura hua
mushkil nazar ki ho gai aasan bura hua
achchha hua ya dard ka darman bura hua
hona kisi ka husn pe nazan bura hua


taskin mil rahi hai tasawwur se raat din
apna raha na koi nigahban bura hua
machle hue shabab ke aasar dekh kar
hushiyar ho gaya gham-e-nadan bura hua


sach puchhiye to husn ke har jalwa-zar mein
insan-farosh din ka iman bura hua
duniya parakh chuke hain mahasin hayat ke
niyyat mein farq aaya ki insan bura hua


bas aabru ka mol hai jine mein jis tarah
khushbu gai ki rang-e-gulistan bura hua
aakhir supurd-e-khak hua khaksar bhi
mitti mein mil gaya tera ehsan bura hua


samjha tha jis ko ghair kisi din nigah ne
wo dard dil mein ho gaya mehman bura hua
ek gham se jazb-e-'shad' ke dariya utar gae
sahil-nawaz ho gaya tufan bura hua


62877 viewsghazalEnglish